Faraz wanted me to post this for him, its good.
meiN usey waqif-e-ulfat na karoN
=========================================
sochta hoN key bohot saada-o-masoom hey woh
meiN abhi us ko shanasa-e-mohabbat na karoN
roh ko us ki aseer-e-ghum-e-ulfat na karoN
us ko ruswa na karoN, waqf-e-museebat na karoN
sochta hoN key abhi ranj sey azaad hey woh
waqif-e-dard nahi, khogar-e-alaam nahi
sehr-e-aeish mein us ki asr-e-shaam nahi
zindagi us key liyay zehar bhara jaam nahi
sochta hoN key mohabbat hey jawani ki khizaN
us ney dekha nahi duniya mein baharoN key siwa
nikhat-o-noor sey labrez nazaroN key siwa
sabza zarooN key siwa aur sitaroN key siwa
sochta hoN key ghum-e-dil na sunaoN us ko
saamney us key kabhi raaz ko uryaN na karoN
khalish-e-dil sey usey dast-o-girebaN na karoN
us key jazbaat ko meiN shola-badamaN na karoN
sochta hoN key jala dey ki mohabbat us ko
woh mohabbat ki bhala taab kahaN laey gi
khud tu woh aatish-e-jazbaat meiN jal jaey gi
aur duniya ko is anjaam pey tarpaey gi
sochta hoN key bohot saada-o-masoom hey woh
mein usey waqif-e-ulfat na karoN
(Noon-Meem Rashid)
SAARay Dost is a place for things about and by my friends. Here I will share with you some of things I got from my friends or something sweet about them.
Wednesday, July 23, 2003
Monday, July 21, 2003
Mizahiya Shayeri: (Comical Urdu Poetry)
"Sahib Zaday kiya karte hain" Larki Waloon ne yeh poocha
"Jab dekho farigh phirte hain ya tambako pite hain"
Larkay ki amman yeh bolin....kam kare us ki joti
"do bhai bhatta lete hain--abba khair se daku hain"
Kuch aisa kar duniya mein kadardaan
meherbaan jis gali sey guzrey awaz aaye
abba jaan abba jan
Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay?
Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay
Mohabbat mujhay un jawano se hai
Jo khatay peetay gharano se hain
Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga
Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga
Hathi nay kaha ja kar hathni ki qabar per
Sadqay jaoo tumhari patli kamar per
Dil kay armaa aanso'oo may bah gaye
Un kay bachay hamay mamu kah gaye
Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha
Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha
nakam muhabbat ka har eik dukh sehna..
.har haal main anjam se darte rehna
Qudrat ka barra imtehan hai jaidi........
mehbooba ki olad ka "mamoon" kehna!
Rat ka waqt hai aur masjid hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jote
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon
Aur bhi chizain lut chuki hain dil ke sath
yeh batayen doston ne ishq farmane ke baad
is liye kamre ki eik eik chiz check karta hoon main
" eik tere ane se pehle eik tere jane ke baad"
bhains rakhne ka takalluf hamse ho sakta nahin
ham ne sokhe doodh ka dabba jo hai rakha hua
ghar main rakhain ghair mehrm ko mulazim kis liye
kam karne ke liye abba jo hai rakha hua
chandni chand se hogi to sitaroon ka kiya ho ga
mohabbat eik se hogi to hazaroon ga kiya ho ga
Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai
Warna baaqee cases main to copy paste kiya karte hai

Saturday, July 19, 2003
Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na mang
Maine samjha tha ke tu hai to darakhshan hai hayat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagra kya hai
Teri surat say hai aalam mein baharon ko sabat
Teri aankhon ke siwa dunya main rakha kya hai
Tu' jo mil jaye to taqdeer nugoon ho jaye
Youn na tha maine faqat chaha tha youn ho jaye
Aur bhi dukh hain zamane main mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain vasal ki rahat ke siwa
Anginat sadyoun ki tareek behimana tilsm
Resham wa atlas wa kamkhwab main bunwaye hue
Ja baja bikte hue koocha-o-bazar mein jism
Khaak mein lithre hue khoon mein nehlaye hue
Jism nikle hue imraz ke tanuron se
Peep behti huee gulte hue nasooron se
Lot jatee hai udhar ko bhi nazar kya kejeeye ?
Ab bhi dilkash hai tera husn magar aya kejeeye ?
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatain aur bhi hain vasal ki rahat ke siwa
- Faiz Ahmad Faiz